Sad Urdu Poetry

Poetry is just about the richest along with most ancient varieties of Urdu novels along with Ghalib, Mir Allama Iqbal while others got by now made a new brand pertaining to them selves ahead of self-sufficiency. Lately there are distinctive poets similar to Faiz Ahmed Faiz. Poets inside sub-continent along with throughout Pakistan way too, get devoted to numerous matters via cultural recognition, for you to state policies, for you to religion and in many cases enchantment.

Tuesday, 14 February 2012

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu.,.
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,.,.
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,.,.
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,.,.
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N.,.
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,.,.
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii.,.
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,.,.
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai.,.
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?.,.
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa.,.
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu.,.

dard-e-muflisi

Meri aankhon me dard-e-muflisi baqi hai abhi.,.
Ranj-o-gham, mehr-o-wafa, dillagi baqi hai abhi.,.

Veena Malik se masjid ka chanda

Aik pathab ne Veena Malik se masjid ka chanda manga..,.
Veena : ap log to kehte hen k mera paisa naapak hai?.,,
Pathan : tumhary paison se hum BATHROOM banaey gy.,.

A ring is round

A ring is round
and has no end
and thats how long
i will be your friend

Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun

Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun.,.
Abhi Teri Daastan Mein Gum Hun.,.
Mein Dekh Sakti Hun Doston Ko.,.
Magar Saf-e-Dushmanaan Mein Gum Hun.,.
Badan Ka aPna azaab Hai aur.,.
Isi Azaab-e-Ziaan Mein Gum Hun.,.
Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko.,.
Mein aisay Makaan Mein Gum Hun.,.
Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki ?.,.
Mein Manzilon Ke Nishaan mein Gum Hun.,.
Khabar Nahi Mauj-e-Dast-e-Jaan Ki.,.
Hawaa Hun aur Baadbaan Mein Gum Hun.,.
Abhi Kahan Fursat-e-Mohabbat ?.,.
Abhi Mein Kaar-e-Jahaan Mein Gum Hun.,.

Aaj Tou Be-sabab Udaas

Aaj Tou Be-sabab Udaas Hai Jee.,.
Ishq Hotaa To koi Baat Bhi Thee.,.