Sad Urdu Poetry

Poetry is just about the richest along with most ancient varieties of Urdu novels along with Ghalib, Mir Allama Iqbal while others got by now made a new brand pertaining to them selves ahead of self-sufficiency. Lately there are distinctive poets similar to Faiz Ahmed Faiz. Poets inside sub-continent along with throughout Pakistan way too, get devoted to numerous matters via cultural recognition, for you to state policies, for you to religion and in many cases enchantment.

Tuesday 14 February 2012

Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun

Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun.,.
Abhi Teri Daastan Mein Gum Hun.,.
Mein Dekh Sakti Hun Doston Ko.,.
Magar Saf-e-Dushmanaan Mein Gum Hun.,.
Badan Ka aPna azaab Hai aur.,.
Isi Azaab-e-Ziaan Mein Gum Hun.,.
Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko.,.
Mein aisay Makaan Mein Gum Hun.,.
Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki ?.,.
Mein Manzilon Ke Nishaan mein Gum Hun.,.
Khabar Nahi Mauj-e-Dast-e-Jaan Ki.,.
Hawaa Hun aur Baadbaan Mein Gum Hun.,.
Abhi Kahan Fursat-e-Mohabbat ?.,.
Abhi Mein Kaar-e-Jahaan Mein Gum Hun.,.

No comments:

Post a Comment